Sunday, January 11, 2009

Good one from Faraz

This is such a simple one. Yet so beautiful.



Bhaley Dinno Ki Baat Hai, Bhalee Si Ek Shakal Thee
Na Yeh Kay Husney Taam Ho, Na Deykhney Main Aam Si

Na Yeh Kay Woh Challey Tu Kehkashaan Si Rahaguzer Lagey
Mager! Woh Saath Ho tu Phir Bhala Bhala Safer Lagey

Koi Bhi Ruth Ho Us Ki Chabh,Fiza Ka Rang Roop Thi
Woh Germioon Ki Chanoon thi, Woh Serdioon Ki Dhoop Thi

Na Muddatoon Juda Rahey, Na Sath Subhoo Shaam Ho
Na Rishtaey Wafa Pey Zid, Na Yeh kay Uzn-e-Aam Ho

Na itni Khush Libasiaan kay Sadgi Gila Keray
Na itni Bey Takkallufee Kay Aaiena Ha'ya Keray

Na Aashiqee Junnoon Ki, Kay Zindagi Azzab Ho
Na iskader Suppurdgi Kay Dosti Kharab Ho

Khabhi tu Baat Bhi Khafi, Kabhi Sukoot Bhi Sukhan
Khabhi tu Kashtey Zaafraan, Khabhi Udasioon Ka Ban

Suna Hai Ek Umr Hai, Mulaqat-e-Dil Ki Bhi
Wisaley Jaan Fiza Tu Kya, Firaq-e-Jaan Gusal Ki Bhi

So Ek Roz Kya Hoa, Wafa Pey Behas Chhir Gayee
Main Ishq Ko Amer Kahoon, Woh Mayri Zid say Chirh Gayee

Main Ishq Ka Aseer Tha, Woh Ishq Ko Qaffas Kahey
Kay Umr Bher Kay Sath Ko Badterrez Hawas Kahey

Main Koi Painting Nahee Jo Kisi Kay Frame Main Rahoon
Wohi Jo Mann Ka Meet Ho Usi Kay Prem Main Rahoon

Tumhari Sooch Jo Bhi Ho, Main is Meezaj Ki Nahee
Mujhey Wafa Say Bair Hey, Yeh Baat Aaj Ki Nahee

Na Us Ko Mujh Pey Maan Tha, Na Mujhko Us Pey Zaam Hi
Jab Ehad Hi Koi Na Ho, Tu Kya Gham-e-Shikastgi

So Apna Apna Raasta Hansi Khushi Badal Dia
Woh Apni Rah Chall Peri Main Apni Rah Chall Dia

Bhali Si Ek Shakal Thi, Bhalee Si Us Ki Doosti
Ab Us Ki Yaad Raat Din, Nahee !!!Mager,,, Kabhee Kabhee

No comments: